dastak
Abdul Aijaz
ghup andhere meṇ sāṇs letī
nā-dīda khaṭ khaṭ
tārīk duniyā meṇ sarsarātī
havā kī dastak
yeh kyā jahaṇ hai
jahaṇ andhere na jāne kab se
chahār jānib tane hue haiṇ
na jāne kab se
ham apnī ānkhoṇ kī raushnā’ī meṇ khvāb sīṇche
savāl oṛhe
sarāpā chup se thame hu’e haiṇ
hamārī nazareṇ
hamārī qismat kī tīrgī se ulajh rahī haiṇ
hamārī nabzeṇ
ghaḍi kī ṭik ṭik se bandh gayī haiṇ
ham ek dūje kī chaltī sāṇsoṇ se
zindgānī kashīd kar ke
siyāh jeboṇ meṇ bhar rahe haiṇ
har ek lamhe meṇ mar rahe haiṇ
koī to āye
kahīṇ se āye
hamāre āngan ke band kivaṛon ko khaṭkhaṭāye
azāb rut kā tilism toṛe
sarāb dhartī ke zard mausam meṇ jān chhiṛke
to khvāb jāgeṇ
savāl jāgeṇ, to jī uṭheṇ ham
har ek lamhe meṇ rang bhar ke
sharāb-e hastī ko pī chukeṇ ham
magar yeh ḍar hai
āseb chhūṭe, hamāre khasta kivāṛ jāgeṇ
to us taraf bhī
vahī andhere hī muntazir hoṇ
ham apnī āṇkhoṇ meṇ khvāb sīṇche
tārīk rāhoṇ meṇ chup khaṛe haiṇ
havā kī āhaṭ pe chaun